Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 721.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 106
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jis din kuchh muñh ujaale honge aur kuchh muñh kaale to wo jinke muñh kaale huwe
2⃣ Kya tum Imaan laakar kaafir huwe to ab azaab chakho apne kufr ka badla
▶ Tafseer
1⃣ Yaani kuffar unse taubikhan kaha jayega
2⃣ Iske mukhatab yaa to tamaam kuffar hai is soorat mein Imaan se roze misaaq ka Imaan muraad hai jabh Allah Ta'ala ne unse farmaya tha Kya main tumhara Rab nahi hooñ sabne bala kaha tha aur imaan laaye the ab jo duniya mein kaafir huwe to unse farmaya jaata hai ki roze misaaq Imaan laane ke baad tum kaafir ho gaye Hasan ka qaul hai ki isse munafiqeen muraad hai jinhone zabaan se izhaare Imaan kiya tha aur unke dil munkir the Ikrama ne kaha ki wo Ahle kitaab hai jo Sayyade Aalam ﷺ ki be'asat ke qabl to Huzoor ﷺ par Imaan laaye aur Huzoor ﷺ ke zuhoor ke baad Aap ka inkaar karke kaafir ho gaye ek qaul ye hai ki uske mukhatab murtaddeen hai jo Islaam laakar fir gaye aur kaafir ho gaye
Monday, April 4, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment