Monday, April 4, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #716

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 716.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 100 & 101

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Imaan walo agar tum kuchh kitabiyoñ ke kahe par chale to wo tumhare Imaan ke baad tumhe kaafir kar chhodenge ○
Aur tum kyuñ kar kufr karoge tum par Allah ki aayate padhi jaati haiñ aur tum me uska Rasool tashreef laaya aur jisne Allah ka sahara liya to zarur wo seedhi raah dikhaya gaya

▶ Tafseer
▶ Shaane nuzool Aus wa Khazraj ke qabeeloñ mein pehle badi adawat thi aur mudaatoñ unke darmiyan jung jaari rahi Sayyade Aalam ﷺ ke sadqe mein un qabeeloñ ke log Islam laakar baaham sheero shakar huwe ek roz wo ek majlis mein baithe huwe unso muhabbat ki baate kar rahe the Shaas Bin Qaid Yahoodi jo bada dushmane Islaam tha us taraf se guzra unke bahami rawabit dekh kar jal gaya aur kehne laga jabh ye log aapas mein mil gaye to hamara kya thikana hai ek jawan ko muqarrar kiya ki unki majlis mein baith kar unki pichli ladaiyoñ ka zikr chede aur us zamana mein har ek qabeela jo apni madah aur dusroñ ki hiqaarat ke ash'aar likhta tha padhe chunanche us yahoodi ne aisa hi kiya aur uski sharar angezi se dono qabeeloñ ke log tesh mein aa gaye aur hathiyar utha liye kareeb tha ki khooñrezi ho jaaye Sayyade Aalam ﷺ ye khabar paakar muhajireen ke saath tashreef laaye aur farmaya ki Aye Jamaate Ahle Islaam ye kya jahiliyat ke harakaat haiñ main tumhare darmiyan hooñ Allah Ta'ala ne tumko Islaam ki izzat di jahiliyat ki balaa se najaat di tumhare darmiyan ulfato muhabbat daali tum fir zamana e kufr ki taraf laut te ho Huzoor ke irshaad ne inke diloñ par asar kiya aur unhone samjha ki ye shaitan ka fareb aur dushman ka maqr tha unhone haatho se hathiyar feñk diye aur rote huwe ek dusre se lipat gaye aur Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ke saath farmabardaraana chale aaye unke haq mein ye aayat naazil huwi

0 comments:

Post a Comment