Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 720.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 105
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur un jaise na hona jo aapas mein phatt gaye aur unme phoot pad gayi
2⃣ Baad iske ki roushan nishaniyañ unhe aa chuki thi Aur unke liye bada azaab hai
▶ Tafseer
1⃣ Jaisa ki Yahoodo Nasaara aapas mein mukhtalif huwe aur unme ek dusre ke saath ainaado dushmani raasikh ho gai yaa jaisa ki khud tum zamana e Islam se pehle jahiliyat ke waqt mein mutafarriq the tumhare darmiyan bugzo ainaad tha
▶ Masla - Is aayat mein musalmanoñ ko aapas mein ittefaaqo ijtemaa ka huqm diya gaya aur ikhtilaaf aur uske asbaab paidah karne ki mumana'at farmayi gayi Ahaadees mein bhi iski bohat taqeedeñ waarid haiñ aur jamaate muslimeen se juda hone ki sakhti se mumana'at farmayi gayi hai jo firqa paida hota hai us huqm ki mukhalifat karke hi paida hota hai aur jamaate muslimeen mein tafarqa andaazi ke jurm ka murtakib hota hai aur hasbe irshaade Hadees wo Shaitan ka shikaar hai 'A'Aazan-Allahu ta'ala minhu '
2⃣ aur haq waazeh ho chuka tha
Monday, April 4, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment