Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #711.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 96.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Beshak sab mein pehla ghar jo logoñ ki ibadat ko muqarrar huwa woh hai jo Makkah mein hai barkat wala aur saare jahaañ ka raahnuma.
▶ Tafseer
▶ Shaane nuzool yahood ne Musalmanoñ se kaha tha ki Baitul Muqaddas hamara Qibla hai Kaaba se afzal aur usse pehla hai Ambiya ka maqaame hijrat wa qibla e ibadat hai Musalmanoñ ne kaha ki Kaaba afzal hai is par yeh Aayate Kareema naazil huwi aur isme bataya gaya ki sabse pehla makaan jisko Allah Ta'ala ne Ta'at wa ibadat ke liye muqarrar kiya Namaz ka qibla aur Tawaf ka mauja'a banaya jisme nekiyoñ ke sawab zyada hote hai wo Kaaba Mu'azzama hai jo shahre Makkah Mu'azzama mein waaqe hai Hadees Shareef mein hai ki Kaaba Mu'azzama Baitul Muqaddas se 40 saal qabl banaya gaya.
Sunday, April 3, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment