Monday, April 4, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #718

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 718.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 717.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 102 & 103

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur Allah ka ehsaan apne upar yaad karo jabh tum mein bair tha usne tumhare diloñ mein milaap kar diya to uske fazl se tum aapas mein bhai hogae
4⃣ Aur tum ek ghaare dozakh ke kinaare par the
5⃣ to usne tumhe usse bacha diya Allah tumse yuñ hi apni aayateñ bayaan farmata hai ki kahiñ tum hidayat pao

▶ Tafseer
3⃣ Aur Islam ki badaulat adawat door hokar aapas mein deeni muhabbat paida huwi hatta ki Auso Khazraj ki wo mash'hoor ladayi jo 120 saal se jaari thi aur uske sabab raat din qatlo gaarat ki garm baazaari rehti thi Sayyade Aalam ﷺ ke zariye Allah Ta'ala ne mitaa di aur jung ki aag thandi kar di aur jangzu qabeeloñ mein ulfato muhabbat ke jazbaat paida kar diye
4⃣ Yaani haalate kufr mein ki agar usi haal par mar jaate to dozakh mein pahoñchte
5⃣ Daulate Imaan ataa kar ke

0 comments:

Post a Comment