Saturday, April 4, 2015

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllah ﷺ Day 262

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Jiss muqaddas makan mein Huzoor e Akdas ﷺ ki wiladat huwi tareekh e islam mein uss maqam ka naam "Maulud un Nabi" (nabi ki wiladat ki jagah) hai.

▶ Hazrat Shah Waliullah Muhaddis e Dehalvi alaihirrehma ne apni kitab "fuyuzul harmain" mein tehrir farmaya hai ki Main ek martaba uss makan mein mehfile meelad mein hazir huwa jo makkah mukarrama mein 12 Rabbi ul Awwal shareef ko "Maulud un Nabi" mein munaqid huwi thi.

▶ Jiss waqt wiladat ka zikr padha jaa raha tha to Maine dekha ki ek bargi uss majlis mein kuch anwaar buland huwe maine unn anwaar par gaur kiya toh malum huwa ki woh Rehmat e Ilahi aur unn Farishto ke anwaar the jo aisi mehfilo mein haazir huwa karte the.

▶ Jab hijaz par najdi hukumat ka tasallut huwa toh maqabbir e jannatul mu'alah aur jannatul baqee shareef ke saath saath najdi hukumat ne iss muqaddas yaadgar ko bhi tod fod kar mismar kar diya aur saalo tak yeh maqaam veeran pada raha.

▶ Ab uss jagah par ek chhoti building hai jise najdi hukumat library aur maqtab kehte hai aur uss jagah ab meelad shareef aur salato salam bhi nahi padhne diya jata.

▶ Issi liye Sarkar Mufti e Azam e Hind Alaihirrehma apne kalam mein farmate hai.

# Tere Habeeb Ka Pyara Chaman Kiya Barbaad
Ilaahi Nikle Yeh Najdi Bala Madine Se

     آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
 

0 comments:

Post a Comment