بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Huzoor ﷺ ka luaabe dahan(thhook mubarak) zakhmiyo aur bimaro ke liye shifa thha jab Hazrat e Abu bakr Siddik رضي الله عنه ko gaar e shhaur ke andar saanp ne kaata to usska zahar Huzoor ﷺ ke luaabe dahan se utar gaya aur zakhm achha ho gaya
▶Hazrat Ali رضي الله عنه ki Aankhon ki bimari Luaabe dahan se shifa hui Hazrat e Rifa'aa bin Rafe'a رضي الله عنه ki aankh mai jung e badr ke din teer lag gaya aur foot gai magar Huzoor ﷺ ke luaabe dahan se aisi shifa mili ke dard bhi jaata raha aur aankh ki roshni bhi barkaraar rahi
▶Hazrat Abu Katada رضي الله عنه ke chehre par teer laga Sarkar ﷺ ne uss par apna luaabe dahan laga diya to fouran khoon bandh ho gaya aur fir zindagi bhar unko teer wa talwar ka zakhm na laga
▶Shifa ke alawa aur bhi luaabe dahan se badi badi barkat ka zahoor hua chunache hazrat Anas رضي الله عنه ke ghar mai kuwaa thha aap ne uss mai apna luaabe dahan daal diya usska paani itna shiri(meethha) ho gaya ke Madeena Munawwara mai usse barh kar koi shiri kuwaa na thha
▶Imam Baihaqi رضي الله عنه ne ye hadees e paak rivayat ki ke Rasool ﷺ Aashura ke din doodh peete bachho ko bulate thhe aur unke munh mai apna luaabe dahan daal dete thhe aur unki maa ko hukm dete thhe ke wo raat tak bachho ko doodh naa pilaye Huzoor ﷺ ka luaabe dahan bachho ko iss qadr shikam shair aur sairaab kar deta thha ke unn bachho ko din bhar bhookh naa lagti thhi
سُــــبْحانَ الله
#Zurkaani Shareef
Jild 5, Safah 246
#Jisse khaari kuwe shiraa e jaa bane
Uss zulaale rehmat par lakho salam
#Jisske paani se shadab jaa(n) wa jinaa
Uss dahan ki tarawat par lakho salam

0 comments:
Post a Comment