Saturday, April 4, 2015

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day 265

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Huzoor Rehmatulil Aalameen ﷺ ka laqab"UMMI" hai jiska maana hota hai ke aap ne duniya mai kisi insan se likhna padhna nahi sikha ye Huzoor ﷺ ka bahot hi azimusshan mo'ajiza hai ke duniya mai aap ko kisi ne bhi nahi padhaya likhaya magar Khudavande Quddus ne aap ko iss qadr ilm ata farmaya ki aap ka seena awwalin wa aakhireen ke uloom wa ma'arif ka khazeena ban gaya aur aap par aisi kitab nazil hui jiski shan hai ke ussmai har chiz ka roshan bayan hai.

▶Maulana Jaami Rehmatullahi Taa'ala Alaih farmate hai jiska mafhoom hai  "yaani mere Mehboob ﷺ na kabhi maqtab mai gaye na likhna sikha magar apne chashm e abru ke ishare se anginat mudarriso ko sabak padha diya"

▶Zahir hai jiska ustad aur ta'aleem dene wala Khalik e Kainaat Jalla Jalalahu ho bhala ussko kisi aur ustad se ta'aleem hasil karne ki kya jarurat hogi Aala hazrat azemul barkat رضي الله عنه farmate hai.

#Tere Aage Yuh Hai Dabe Lache
Fu Saha Arab Ke Bade Bade
Koi Jaane Munh Mai Zabaan Nahi
Nahi Bal Ke Jism Mai Jaan Nahi.
 

0 comments:

Post a Comment