Friday, March 27, 2015

Qurbani Ke Masail 177

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


⏩  Qurbani ki woh cheezein jo nahi khaani chahiye aaj kal bekhabri mein pakaayi aur khaayi jaati hai.

 Zabah ke waqt jo khoon nikalta hai usko dame masfooh kehte hai yeh napaak hota hai iska khaana haraam.
 Zabah ke baad jo khoon gosht mein reh jaata hai jaise gardan ke kate huwe hisse par dil ke andar kaleji aur tilli mein aur gosht ke andar ki choti choti ragon mein yeh napaak to nahi magar is khoon ka bhi khaana mamnu hai isliye pakaane se pehle khoob acchi tarah safaai kar le.
 Pakane ke baad woh ragein kali dori ki tarah ho jaati hai khaas kar bheje sirri paaye aur murgi ki raan aur par ke gosht me baarik kaali doriyaan dekhi jaati hai khaate waqt inko nikaal de Murgi ka dil bhi pura na pakaaye lambayi mein chaar chire kar ke iska khoon saaf kar le.
 Haraam magz yeh safed doori ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan ke andar se guzarta huwa puri reedh ki haddi mein aakhir tak jaata hai.
 Aksar maahir cutting karne wale ise nikaal lete hai magar yeh bhi dekha gaya ke be ehtiyati ki wajah se thoda bohot reh jaata hai aur pak bhi jaata hai.
 Chaanp gardan aur kamar ka gosht dhote waqt haraam magz talash kar ke nikal diya kare.
 yeh cheez murgi aur dusre parindon ki gardan aur reedh ki haddi me bhi hoti hai pakaane se pehle isko nikaalna muskil hai isliye khaate waqt nikaal dena chahiye.
 

0 comments:

Post a Comment