Monday, April 4, 2016

Hadees e Mubaraka #720

SHARE
YA SIDDIQ YA UMAR YA USMAN YA HAIDER
DAF'AA SHARKUN KHAIRAAWAR YA SHABBIR YA SHABBAR

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 720
23 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Anas bin Malik رضي الله عنه se riwayat hai aapne farmaya Huzoor Nabi e Kareem ﷺ jalwagar huwe aur ek baagh mein tashreef le gaye, ek sahab haazir huwe aur darwaze par dastak di, Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur unke liye darwaza kholo aur unhein Jannat ki aur mere baad khilaafat ki basharat suna do, Maiñe arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ kya maiñ unhein yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe unse kaha aapke liye Jannat ki khushkhabri hai aur Nabi e Kareem ﷺ ke baad khilafat ki khushkhabri hai.

Phir darwaze par dastak huwi RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur unke liye darwaza kholo aur unhein Jannat ki khushkhabri suna do aur Abu Bakr ke baad unko khilafat ki basharat suna do, maiñe arz kiya Yaa RasoolAllah ﷺ kya yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Umar رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe RasoolAllah ﷺ ke hukm par amal karte huwe unhein khushkhabri suna di.

Phir ek martaba darwaze pe dastak huwi Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur darwaza khol do aur unhein Jannat ki aur Hazrat Umar Farook رضي الله عنه ke baad khilafat ki basharat suna do aur yeh bhi basharat suna do ke woh Shaheed hone wale hai jabh maiñ bahar nikla to dekha Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه tashreef farma haiñ.

#Kanzul Amal, Hadees No 36267.

0 comments:

Post a Comment