بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Talkhisul qalaeed mein Shaikh Abu Muhammed Ahmed ibne Abubakr se riwayata hai ki shaikh Ahmed Jaam zindafil sher par sawar ho kar safar kiya karte the aur jiss shehair mein pahuchte waha se ek gaay apne sher ki khuraak ke liye talab karte log pesh kar diya karte ittefakan ek shaher mein pahuch kar ek wali se gaay mangwayi unhone gaay to bhej di aur saath hi saath ye bhi kehla diya ke agar aap baghdad shareef tashreef le jaaye to aap ke sher ko bahot acchi dawat milegi.
Shaikh Ahmed Jaam kuch dino ke baad baghdad shareef ke liye ravana ho gaye jabh baghdad e muqaddas pahuche to shaher ke bahar padav daal diya aur Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ke paas paigaam bheja ki Aapke shaher mein ek buzurg sher par sawar ho kar aaye hai unke sher ki khuraak ke liye ek gaay bhej dijiye aapne khadim ke zariye jawaab diya ke theek hai gaay bhej deta hu to Shaikh Ahmed Jaam bahot khush huwe aur kehne lage dekh liya tum logo ne hamara dabdaba
Bahrhal Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه ne apne khadim ke saath gaay bhej di aur Aapke langarkhaane ke paas ek kutta pada rehta tha jo langarkhaane ki haddiyo par guzar basar karta tha woh bhi gaay ke saath ho liya jab woh gaay Shaikh Ahmed jaam ke samne pahochi to aapne apne sher ko ishara kiya ke apni khuraak le le,
Jaise hi sher gaay par jhapta fauran kutte ne lapak kar sher ka gala apne munh se pakad liya aur uska pet faad diya to sher zameen par gir gaya aur kutta gaay ko Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ki khanqah mein le aaya Shaikh Ahmed Jaam ne sher ki halat aur kutte ki jurrat dekhi to samajh gaye ke yeh aam kutta nahi balki darbar e Gaus ka kutta hai aap bahot sharminda huwe aur bargahe Gausiyat mein hazir hokar maafi talab ki aur dua ke talabgaar huwe.
# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
Tujh se Dar, Dar se Sag, Aur Sag se hai Mujhko Nisbat,
Meri Gardan meiñ bhi hai door ka Dora Tera.
Http://fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment