Sunday, April 5, 2015

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 309

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek riwayat mein hai ke Ramazan ka mahina tha ek khadim ne aakar Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki bargaah mein hazir ho kar arz ki Huzoor meri tamanna hai ke aaj mere gareeb khane par Roza iftaar kare Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ne manzoor farmaya woh khadim khushi khushi wapas gaya uske baad doosre khadim ne bhi yahi khwahish zahir ki Aapne unki dawat bhi qabool farma li unke jate hi teesre khadim aaye unhone bhi aajizi ke saath yahi darkhwast ki to aapne unse bhi wada farma liya issi tarah 70 aqidatmand aaye aur sabhne yahi arz ki,

Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne kisi ka bhi dil naa toda aur sabse wada farmate gaye  jabh iftar ka waqt aaya to Huzoor ek hi waqt mein har ek khadim ke yaha jalwa afroz huwe aur roza iftaar kiya subah jabh aqidatmand jama huwe to ek doosre se fakhr se bayan karne lage ke kal mujhpar Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ka bada karam huwa mere gareeb khane par roza iftaar farmaya doosre ne kaha tum galat kehte ho Huzoor mere yaha tashreef le gaye the aur roza iftaar farmaya.

Jitne dawat dene wale the kuch deir mein saare jama ho gaye aur aapas mein bahas hone lagi jabh sab madarse pahuche to madarse walo ne kaha ke kal to Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne madarse se bahar qadam bhi nahi nikala yahi maujood rahe aur madarse mein iftaar kiya.

Aakhir mein sab log Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat mein hazir huwe aur arz ki ke Huzoor ye kya baat hai to Aapne farmaya iss mein ta'ajjub ki kya baat hai? Allah ﷻ ne Awliya Allah ko itni taqat bakhshi hai ke woh ek hi waqt mein bahot se maqamat par pahuch sakte hai.

        سُــــبْحانَ الله

Gaye ek waqt meiñ sattar(70) mureedoñ ke yahaañ Aaqa,
Samajh meiñ aa nahiñ sakta mu-amma Gaus e Aazam ka.
 

0 comments:

Post a Comment