بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
⏩Imaam Ke Qatilon Par Azaab.
Allama Ibne Hajar Makki kehte hai ke ek budhe ne mujhe bataaya ke usne khwaab dekha ke Aaqa ke samne khoon se bhara hua bartan hai aur logon ko laaya jaata hai aur Aaqa uss khoon ko unki aankhon mai laga rahe hai.meri baari aayi toh maine arz kiya Rasulallah ﷺ main nai tha, toh farmaya ke Tu dil mai tamanna toh rakhta tha aur mein andha ho gaya.
Hazrat Ali Asgar ko halaq mein teer marne wale ko pet ki taraf aisi garmi hoti ke jaise aag jal rahi ho aur peeth ki taraf aisi thandi ke Allah ki panah pet par baraf rakhte toh bhi sukoon na milta aur peeth par aag jalaate toh bhi fayda na hota.paani paani chillaata aur jitna paani dete pee jaata lekin pyaas na bujhti aur isi paani se uska pait phata aur mar gaya.
Hazrat e Ibne Abbaas se riwayat karte hai ke Allah Taa'aala ne Sarkaar ﷺ par wahi bheji ke maine Yahya bin Zakariya ke badle me 70,000 ko maara tha aur tumhare Nawaase ke badle 1,40,000 ko maarunga,toh Mukhtaar ke haatho hazaaron mare, be shumaar musibaton aur aafaton se mare. phir hazaro Abbaasi saltanat ki buniyaad rakhne waale ke haatho maare gaye.
Isi tarah 1,40,000 ke badle ka Waada e Ilaahi poora hua.
Ek aitraaz
Imaam ke muqaable par toh 22,000 the toh fir 1,40,000 kyu maare gaye baaki logo ka kya gunah???
Imaam ka qatl jin logo ne kiya woh toh mujrim hai hi aur jo Imaam ke qatal me sharik toh na hue lekin Imaam ke qatl par raazi the toh woh bhi unhi mai (Imaam ke qaatilon mai) se hai isliye maare gaye.
Abu Daawood shareef ki hadees shareef hai ke Jab kisi jagah koi gunah kiya jaa raha ho waha jo dusra haazir hai magar uss gunah se raazi nahi toh woh aisa hee hai jaise woh wahan hai hee nahi aur jo shakhs waha maujood (haazir) nahi lekin uss gunah par raazi hai toh woh aisa hee hai jaise woh waha maujood (haazir) hai.
# Noor ul Absaar.
# Tareekh ul Khulfa.
# Khasais ul Kubra.
# Sawaaiq ul Muharreqa.
# Khutbaat e Moharram.

0 comments:
Post a Comment