بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه
Imam Hussain رضي الله عنه ne samajh liya ke abh hujjat qayem ho gayi aur yazeedi mere khoon se apne haathon ko rangeen karke hi dam lenge to aapne irshad farmaya 'tum log jo iraada rakhte ho woh poora karo aur jise chaaho mere muqaable ke liye bhejo'. ibne saad ne mashoor aur bade bade pehelwaan aur maidane jung ke maahiron ko sambhal rakha tha ke jo Shere Khuda ke Sher se muqaabla kar sake, un meinse sabse pehle Tameem bin qahtba, yazeed abtahi, badar ka beta, badar bin sohel yamani, shaam o iraq ke bade pehelwan. Yeh sab naam cheen pehelwaan the aur ye sab bade guroor se aur itraate jhoomte huwe aaye or apne anjaam ko pahuche.
Kisi ka ek hi waar mein sar jisam se uda kar uska ghamand khaak mein mila diya to kisi ne apni badhaai maari aur Imam se badkalaami ki to ek do petre mein hi uski kamar par aisa waar kiya ke uske kamar se hi 2 tukde kar diye. Kisi pehelwaan ne apni taaqat bataane ke liye apne bete ko bheja to beta bhi kho diya aur baad mein josh mein aakar khud bhi maidaan mein aa kar apni jaan se bhi haath dho baitha. Kisiko seene mein nezah maara aur aar paar nikaal diya, To kisi ko nezeh ki nok par utha kar zameen par patak diya, To kisiko zameen par patak kar ghode ki taapon se rond daala.
Qul milaa kar Imam ne bade bade bahadur aur naamwar pehelwaano aur unke beton ko thikaane laga kar laashon ka dhair laga diye. Aapki yeh bahaaduri shuja'at dekh kar yazeedi lashkar mein shor huwa ke is tarah to ye ham sabke hausle bhi tod denge aur humare bohot se logon ko qatl kar denge, tab in zaalimon ne hazaaron log mil kar Imam ko chaaron taraf se gher liya aur pachaaso talwaarein aur neze ek saath takraaye fir bhi Haidari Talwaar ka jalaal kam na huwa aur dushmano ke sar udte dikhayi diye.
Abh ibne saad ne teeron ki baarish karwa di aur hazaron teer ek saath Imam ki taraf barse aur Aapko aur aapke ghode ko zakhmon se choor choor kar diya, aur ek teer zeher mein dooba huwa aapki muqaddas peshaani mein laga jahan Nabi e Kareem ﷺ ﷻ chooma karte the, teer lagte hi aapka chehra e zaiba khoon se tar ho gaya aur ghode se zameen par aagaye aur phir sajde mein chale gaye aur Allah ﷻ ka shukr ada kiya aur sayyedush Shahudah ki rooh parwaaz kar gayi.
56 saal 5 mahine 5 din ki umr shareef mein Juma ke din muharram ki 10 tareekh ko hijri 61 aur angrezi calender ke mutabiq 680 mein Imam ne is daare faani se rehlat farmaayi.
nazar bin kharsha ne Imam ka sare aqdas jisam mubarak se alag karne ke liye aage badha lekin Imam ki haibat se uske haath kaanp gaye aur haath se talwaar chooth gayi, phir azali badbakht khuli bin yazeed, sanaan bin anas, shibal bin yazeed, ya shimar ne aapke Sar e Aqdas ko jism se alag kar diya.
Shehashaah e Shaheedan Ho Anookhi Shaan Waale Ho,
Hussain Ibne Ali Tum Par Shahaadat Naaz Karti Hai.
رضي الله عنهم
ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ
# Khutubaat e Muharram.

0 comments:
Post a Comment