بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Ahle Bait
Khatoon e Jannat Hazrat e Sayyeda Fatima رضي الله عنها farmati haiñ Main Hasan o Hussain ko lekar
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki khidmat mein haazir huwi aur arz ki
'Huzoor yeh dono Aapke nawaase hai inhe ataa farmayein. Huzoor ﷺ ne farmaya. Hasan ke liye meri Haibat o
Siyaadat. Aur Hussain ke liye meri jurrat (himmat) o sakhaawat hai.
Ek martaba Huzoor ﷺ ke saamne bachpane ke
dino mein Hasan o Hussain ek dusre se kushti lad rahe the. Huzoor ﷺ tashreef farma they aur kushti dekh rahe
they. Imam e Hasan se Huzoor ﷺ ne farmaya. Hussain ko pakad lo. Sayyeda Fatima رضي الله عنها farmati haiñ mujhe bada tajjub huwa aur
arz ki. Abba Huzoor Aap bade se keh rahe
hai ke chote ko pakad lo. Huzoor ﷺ ne farmaya. Doosri taraf
Jibraeel علیہ السلاام hai jo Hussain se keh
rahe hai ke Hasan ko pakad lo.
Kya shaan hai.
Ek taraf Sayyedul Mursaleen ﷺ aur Dusri taraf Sayyedul Malaaika علیہ السلاام .
# Al Sharf ul Muaiyad.
# Noor ul Absaar.
0 comments:
Post a Comment