بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
22 Zulhijja Wiladat E Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه .
Aapki wiladat ke baad, Aala Hazrat ki
maujoodgi mein Hazrat Shaah Abul Hussain Ahmad E Noori ne Musalle par baithe
baithe Huzoor Mufti e Aazam ko Gaibana dakhil e Silsila farmaya aur Aapke liye
apna amama ataa farmaya. Aur irshaad farmate haiñ, Mujhe is bacche ko dekhne ki
badi tamanna hai, woh bara hi feroz bakht aur Mubarak baccha hai. Mai pehli
fursat mein Bareilly hazir ho kar roohani amanatein supurd karunga"
Hasb e waada 6 maah baad Huzoor Noori Miya
Bareilly Shareef tashreef laaye aur "Aale Rehmaan" ( Mufti e Aazam)
ko apni aagosh mubarak mein le kar deir tak dekhte rahe. Phir peshani choom kar irshad farmaya,
"Mawlana yeh to maadarzaad wali hai" aur phir 6 maah 3 din ki umr
mein Huzoor Noori Miya ne Daakhil e silsila farmaya or tamaam salasil ki ijazat
o Khikafat se nawaza. Or farmaate hain " Yeh Baccha DEEN O MILLAT Ki Badi
Khidmat Karega Aur Makhlooq e Khuda Ko Iski Zaat Se Bohat Faiz Pahuchega, Yeh
Baccha Wali Hai, Iski Nigaahon Se Lakhon Gumraah Insaan Deen e Haq Par Qayem
Honge, Yeh Faiz Ka Dariya Bahaega"
0 comments:
Post a Comment