بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Mea'raj Ka Tohfa Namaaz.
Hazrate Saad Bin Waqaas رضي الله عنه ne farmaya ke Main is baat ko pasand karta
hu jo imam ke piche qirat kare uske munh mein angaara ho aur Hazrat e Farooque
e aazam رضي الله عنه farmate haiñ Jo imam
k piche qirat karta hai kash us k munh mein patthar ho.
Jahar (zorse) padhne ka matlab yeh hai ke
doosre log kam az kam pehli saf wale sun sake aur aahista (dheere) padhne ka
matlab ye hai ke khood sun sake.
Namaaz mein zorse Aameen kehna makrooh aur
khilaaf e sunnat hai.
Munfarid (akele padhnewala) ko jahri namaaz
fajr magribh isha mein ikhtiyaar hai ke chahe to aahista qirat kare ya zorse
kare lekin afzal ye hai ke zorse padhe agar ada padh raha ho aur agar qaza padh
raha ho to dheere padhna waajib hai.
Imam ke liye zaroori hai ke beemar budhe
kamzor aur kaam par jaane wala zarooratmand muqtadiyon ka lihaz karte huwe
lambi qirat na kare k unko takleef pahuche bal ke qirat choti kare.
# Fatawa e Razviya Shareef Jild 3 Safah 120.
0 comments:
Post a Comment