بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه .
Abhi yeh soch hi rahe the ke saamne se guard
sahab laalten (lamp) liye bhaage aa rahe hai, unke peeche pachason aadmi bhaage
aa rahe hai. Guard ne aa kar kaha Huzoor Gaadi ruk gayi hai. Hazrat ne kaha
gaadi ruk gayi hai ya engine kharaab huwa? Guard ne gir gira kar kaha ke Hazrat
Engine hi nahi chalta, Hamlogo se bari gustaakhi huwi muaf farma dein. Yeh mail
train hai ham rok nahi sakte hum majboor they. Hazrat ne farmaya mere dabbe me
ek falan naam ka musalmaan baitha hai, kehta hai Namaz ke liye gaari kya
intezaar karegi. Station master ne kaha abh dusra engine lagaya jaaye ? Hazrat
ne farmaya Agar peeche laao to engine chalega. Waisa hi huwa gaari peeche laayi
gayi aur engine ki kharaabi door ho gayi. Tamaan musafiron ko yeh waqiya dekh
kar badi hairat bhi aur ibrat bhi huwi. In dino modern musalmaani ki aankhein khul chuki thi. Jaisa hi Hazrat ko dekha
un logon ne muafi maangi aur Hazrat ne Muaf farma diya. Is waqiye se islaam ki
haqqaniyat ka mushahida hai.
To be continued...
0 comments:
Post a Comment