بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه .
Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه ka Bachpan Aur Jawaani Huzoor Qutb E
Madina رضي الله عنه Ki Zabaani.
Yeh wahi Qutb E Madina hain jin ka naam
Ziyauddin Ahemad Madani hai Aur jin ki zahd o Taqwa irshaad aur tableeg riyazat
o mujahida ikhlaas o lillahiyat aur kamalaat e baitini ke sababa ahle wafa ne
qutb e Madina ka khitaab diya hai. Aap Mufti E Aazam ke bachpan aur jawaani ka
Aankho dekha haal bayan farmaate hain, "Mufti Aazam qibla ki paidaish ke
waqt main 16 saal ka tha maine Mufti E Aazam ka bachpan dekha, Jawaani dekhi
aur abh burhapa bhi dekha, Log Burhaape mein Amal ki taraf tawajjoh karte hain.
Burhape mein amal ki taraf tawajjoh karna koi kamaal ki baat nahi hai. Jawaani
mein munhiyaat e shariya se mehfooz rehna shariyat e mustafwiya par amal karna
kamaal hai.
Ziyauddin ahemad ne apni aankho se dekha
Wallahil azeem Mufti e Aazam Bachpan hi se paikar e Ilm O Amal hai, Jaam e zehd
aur taqwa hai. Is waqt unke ilm aur fazl, zehd aur taqwa, buzurgi aur
parehzgaari, Fiqr aur Irfaan ka koi kya andaza laga sakta hai ? Ziyauddin
Ahemad Madani Umr mein to Mufti e Aazam Hind se zaroor bara hai lekin Maratib
mein Mufti E Aazam Hind Faqeer se bohot bare hai"
To be continued...
0 comments:
Post a Comment