بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه .
Karamat e Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه
Ek martaba Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه mail train se nagpur se Akola tashreef le
jaa rahe the raaste mein ek jagah chand lamhe ke liye train ruki. Aap musalla
aur lota le kar train se namaz parhne utar gaye, Kayi Aadmi ne kaha Huzoor Yeh
Mail train hai aapke kiye nahi rukegi. Mumkin hai aapki gaadi chooth jayegi
lekin Huzoor Mufti e Aazam, Allah Ta'ala par bhaorsa karke niche utar gaye aur
wazu bana kar namaz parhne lage aur jamaat qayem ho gayi. Jaise hi magribh ki
niyyat ki gayi train chooth gayi Hazrat ka saara samaan aur saath walon ka
saara samaan train mein reh gaya tha. Jab gaari chalne lagi to kisi ne dabbe se kaha "miya gaari
gayi" "miya gaari gayi" Magar us na samajh ko kya maloom tha yeh
kaun hai?
Namaz jamaat se parhi gayi aur sunnat adaa ki
gayi nafl namaz parh chuke plat form khaali tha magar log Hazrat ko dekh rahe
the Aur Aapas mein baat kar rahe the ke dekho mawlana Sahab Namaz ke liye Utre
aur Gaari chali gayi, Magar Hazrat is tarah Mutmayeen the jaise kuch huwa hi
nahi magar log pareshaan the ke sab ka samaan gaya..
To be continued...
0 comments:
Post a Comment