بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Mea'raj Ka Tohfa Namaaz.
Namaaz ke kuch zaroori masail.
Agar sajda e sahw waajib huwa hai to qaida e
akhirah mein attahiyyaat ke baad ek salaam phair kar sajda e sahw karna chahiye
agar dono salaam phair diye to namaaz ko firse padna waahib hai.
# Fatawa Razviya Shareef jild 3 safah 638.
Farz, witr, sunnate Muakkadah ke qaida e ula
mein attahiyyaat ke baad itna keh diya k 'Allahumma salliala muhammed' ya
'Allahumma salliala siyedena' agar bhool se kaha to sajda e sahw kare to namaaz
ho jayegi aur jaan buj kar kahe to namaaz phir se padhe.
Farz namaz mein imam qaida e ula bhool gaya
aur Allahu Akbar keh kar khada ho gaya to kisi muqtadi ne luqma diya aur imam
baith gaya to sabki namaaz jati rahi tamam
muqtadi aur imam phir se namaaz padhe
# Fatawa razviya shareef jild 3 safah 645.
Pehla qaida chordh kar imam poora khada ho
gaya to ussey luqma dena jaiz nahi aur agar khada hone ke baad kisine luqma
diya to dene wale ki namaaz jaati rahi aur sidha khada hone ke baad imam ko
qaida e ula mein wapas lautna haraam hai.
0 comments:
Post a Comment