بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه .
Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه ka pehla Fatwa.
Mawlana Zafaruddin bihari aur Mawlana Abdul
Rasheed Darul Iftaa mein Kaam kar rahe the Aap darul iftaa mein pahuche,
Mawlana zafarruddin bihari almaari se Fatawa Razviya Shareef utha rahe the,
Aapne irshaad farmaya yeh dekh kar jawaab likhte ho ??
Mawlana ne famaya tum bagair dekhe likh do to
jaanu, Aapne fauran woh jawaab likh diya. Woh Raza'at ka masla tha. Yeh Aapka
pehla jawaab tha islaah ke liye Aala Hazrat رضي الله
عنه ki baargaah mein pesh kiya gaya. Sehet E jawaab par Imaam E
ahle Sunnat(Aala Hazrat) bohot Khush huwe aur "Sahil jawaab bi aunil
malikil wahaab" Likh kar Tasdeeqi dastakhat sabt farma diya Aur Abul
Barkaat Muhiyoddin Jilaani Aal E Rehmaan urf Mustafa Raza ki Muhar Mawlana
Hafiz yaqeenoddeen se banwa kar Ataa farmayi..
To be continued...
0 comments:
Post a Comment