بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Bilkhusus Namaz Ki Ahamiyat Ki Talkeen Karte Huwe Farmate Hai:
Mera Guzar Mulk e Shaam Ke Karib Ek Shaher Mai Huwa Uss Shaher Ke Bahar Ek Gaar Tha Jis Me Ek Buzurg Sukunat Pazeer The. Khauf e Khuda Aur Haibat e Ilahi Se Unke Badan Ka Gosht Sab Pighal Gaya Tha Poore Jism Par Sirf Haddiya Hi Reh Gayi Thi
Mai Adab Se Jakar Baith Gaya
Buzurg Ne Daryaft Kiya Kaha Se Aaye Ho.??
Mai Ne Jawab Diya Baghdad Se Haazir Huwa Hu Fir Farmaya Durvesho Ki Khidmat Karte Raho Taaki Tum Ko Zauk e Durveshi Haasil ho. Mujhe Is Gaar Me Rehte Huwe Kayi Saal Guzar Gaye Ek Baat Se Aisa Darta Hu Ki Raat Din Rote Huwe Guzar Jaate Hai
Maine Pucha Hazrat Woh Kaunsi Baat Hai ??
Farmaya Woh Namaz Hai, Jis Waqt Adaa Karta Hu Khauf Maloom Hota Hai Ki Kahi Koi Shart Faroguzasht Na Ho Gayi Ho Aur Meri Saari Ibadat Akaarat Ho Kar Yahi Namaz Mouzib e Itaabe Khudavandi Na Ho Jaaye.
(Bazm e Sufiyaa Page No. 76)
0 comments:
Post a Comment