بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
20 QURAN E PAAK KI TARAF DEKHNA
Sarkaar e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه ne irshad farmaya ke Sarah e Awliya me hai ke jo shakhs Quran e paak ki taraf dekhta hai ya dekh Kar parhta hai use do-guna sawaab milta hai.
Ek Quran e paak parhne ka dusra Qur'an e paak dekhne ka aur har harf (alphabet) ke badle 10 Nekiya ataa ki jaati hai aur 10 badiyaa us ke naam e Aamal se mita di jati hai
HIQAYAT:
Fir aap ne Irshad farmaya ke jo shakhs Quran e paak dekhta hai Allah subhan wa Ta'ala ke fazlo Karam se uski aankho ki roshni barhti hai aur uski aankhe kabhi nahee dukhti is silsile mein mazeed farmaya ke....
Ek dafaa ek buzurg Quran e paak ki tilaawat Kar rahe the ke ek Na-beena unki khidmat me haazir huwa aur aankho ki basharat ke liye un se dua ki darkhwast ki. Un buzurg ne qibla rukh hokar fateha parha aur Quran e paak us shakhs ki aankho se lagaaya jis ki barkat se uski aankhe usi waqt roshan ho gayi.
[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه Page No.450 ]
To be Continued...
0 comments:
Post a Comment