بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
...Continued
Haan be Khuda ke bataaye kisi ko zarra bhar ka ilm maan na zaroor kufr hai aur Jamie maaloomaat e Ilaahiya ko ilm makhlooq ka muheet hona bhi baatil aur aksar Ulema ke khilaaf hai lekin roz e azal ( pehle din) se roz e aakhir tak ka maa kaana wa ma yakoon ( jo hua aur jo hoga) Allah subhan wa ta’ala ke maaloomaat se woh nisbat bhi nahin rakhta jo ek zarre ke laakhwein karodwein hisse ke baraabar yaa tari ( baraabari) ko karor ha karor samundaron se ho balke yeh khud uloom e Mohammediya sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ka ek chhota sa tukra hai.
(yaani Ala hazrat farma rahe hain ke Allah ta'ala ke ilm ki kisi ek ke ilm se koi baraa-bari nahi yahan tak roz e azal se roze aakhir tak ka maa kaana wa ma yakoon ka tamaam ilm ki baraa-bari Allah ta'ala ke ilm ki baraa-bari aisi bhi nahi ki ja sakti jo ek zarre ke karorwein hisse ko karor ha samandar se hai balke ye maa kaana wa maa yakoon ka ilm to hamaare Huzoor ke ilm ka ek tukda hai aur Allah ke ilm ki baraa-bari kisi ke ilm se nahi
aur phir Allah ta'ala ka ilm to zaati hai yaani Use kisi se mila nahi balke khud se hai aur hamaare Huzoor ko jitna bhi ilm mila ya jise bhi mila Allah hi se mila hai. Haan RasoolAllah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ilm ke baantne waale hain.
In tamaam umoor ki tafseel “AL Dawl tul Makkiya” (Aalahazrat Mujaddide deen o millat Imam Ahmed Raza Khan ki ek kitaab ka naam hai) wagaira mein hai. Khair yeh to jumla e muatariza (aisi baat jo beech me aarzi taur par ho) tha aur In sha Allah ul azeem bahot mufeed ( faayidemand) tha, ab bahes saabiq ki taraf aaud kijiye.
To be continued....
0 comments:
Post a Comment