بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Imaam e Azam
Hazrat Shaikh Bu-Ali Usman Alaihir Rahma
Farmate Hai Ke Mai Mulk e Shaam Mai tha Ki Ek Roz Hazrat Bilal رضي الله عنه Ke Mazaar e Paak Par So Gaya Maine Khwaab
Mai Dekha Ke Makkah Shareef Mai Hu Aur Huzur ﷺ
Baab e Bani Shaiba Se Dakhil Hue
Aap Ek Burhe Shakhs Ko Badi Shafkat Se Apni
Mubarak Gaud Mai Liye Hue Apne Sahare
Chala Rahe hai Maine Daur Kar Huzur ﷺ Ke qadam Mubarak Ka Bosa Diya Aur Mere Dil
Mai Ye Sawal Uthh Raha tha Ki Ye Burhe Shakhs Kaun hai Jinhe Huzur Itni Shafkat
Se Apni Gaud Mubarak Mai Sambhale Aur Apne Sahare Chala Rahe Hai
Sarkaar Mere Dil Ka Haal Jaan Gaye Aur
Farmaya Ye Musalmano Ka Imaam Abu Hanifa Hai
# Tazkiratul Awliya
Page No. 252
Sabaq : Malum Huwa Ke Hamare Imaam e Azam Ke
Jumla(Sab) Masaeel Wahi Hai Jo Ahadees Mai Bayaan Hue Aur Aap Ka Mazhab Wahi
Hai Jis Par Sarkaar ﷺ Ne Chalaya
Hamare Sharai Masaeel Aur Istebaat wa
Iztihaad (Masaeel Nikalna , Khojna , Tehqeeq Karna Wagairah) Mai Jo Bhi qadam
Uthhaya Hai Wo Hadees e Nabvi Ke Sahare Par hi Uthhaya hai.
0 comments:
Post a Comment