بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Ahadees e Mubaraka
Hazrat Abu Hurairah رضي
الله عنه Se Riwayat Hai Ke Jung e Tabook Ke Mauke Par Khane Ka Saman
Khatam Hogaya Aur Sahaba e Kiram Bhook Se Behaal Hone Lage Toh Unhone Huzoor Se
Arz Ki Yaa RasoolAllah ﷺ Agar Aap Ijazat Ata Karey Toh Hum Ounth
Zibah Karke Khale ???
Aapne Farmaya Aisa Karlo
Hazrat Umar رضي الله
عنه Ne Aakar Arz Ki Yaa RasoolAllah ﷺ Agar Bhook Ke Waqt Ounth Zibah Karke Khate Rahe Toh Sawari Kam
Ho Jaaegi. Aap Sahaba Ko Hukm Dein Ke Unke Paas Khane Ka Jo Saaman Bacha Ho
Laaye Phir Uspar Aap Hamare Liye Barkat Ki Dua Kar Dein Yaqinan Allah Ta'ala Us
Me Barkat Kar dega. Huzoor ﷺ Ne
Dastarkhwan Bichhwaya Phir Zad e Safar Ka Bacha Huwa Khana Lane Ka Hukm Diya
Jiske Paas Jo Tha Lakar Uspar Jama Kar Diya Sabke Laane Ke Baad Bhi Thora Sa
Ikhatta Huwa.
Us Jama Shuda Khane Par Huzoor ﷺ Ne Barkat Ki Dua Ki Phir Aapne Farmaya Is
Ko Apne Bartanon Me Bhar Lo. Rawi Ka Bayan Hai Ke Lashkar Ka Koi Bartan Khali
Na Bacha Yahan Tak Ke Tamaam Bartan Bhar
Gaye. Aur Itni Barkat Huwi Ke Dastarkhwan Par Phir Bhi Bach Gaya.
# Muslim Sharif Vol. 1
Page No. 41
0 comments:
Post a Comment