بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN
FIQH-E-AKBAR
Saaniyan is weham shanee (bura wahem) ko
mazhabe Sayyedina Imaam e Aazam Radiyallahu ta’ala anhu se bataana Hazrat e
Imaam par sakht iftera wa itihaam (tohmat lagaana) hai
Imaam RadiAllahu anhu apne aqaaid e kareema
ki kitaab e mutahhar fiqhe Akbar mein farmate hain: "Allah ta’ala ki
sifatein qadeem hain (yaani hamesha se hain) na to paida hain, na kisi ki
banaayi huwi, to jo inhe makhlooq ya haadis (jo paida hui ho) kahe ya is
baab mein tawaqquf (khaamosh rehna) kare ya shak laaye wo kaafir hai aur Khuda
ka munkir.
Neez Imaam e Humaam Radi Allahu ta’ala anhu
"kitaabul wasiya" mein farmate hain: “Jo shakhs Kalaamullaah ko
makhlooq kahe usne azmat waale Khuda ke saath kufr kiya.”
To be Continued...
SUBHAAN'ALLAH!
IN SAHABIO NE
HUZOOR ﷺ KI
DUA PAYI AUR
HUZOOR ﷺ KI
EK HI DU'A SE
KITNI BARKAT AAYI
0 comments:
Post a Comment