Thursday, March 19, 2015

Shaan e Imaam e Aazam Radiallahu Anh 60

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shaan e Imaam e Aazam  رضي الله عنه 
Hazrat Naufeel Ibne Hayaan Rehmatullahi Alaihi Farmate Hai Ke Imaam e Aazam Ka Zaahiri Wisaal Hogaya Toh Maine Khawaab Me Dekha Ki Maidaan e Qayamat Hai ! Saari Makhlook Hisaabgah Me Khadi Hai Maine Dekha Ki Huzoor Sarwar e Aalam Hauz e Kauser Par Tashrif Farma Hai Aapke Daaye Baaye Bade Bade Noorani Log Khade Hai

Maine Ek Budhe Shakhs Ko Dekha Jo Bade Saahib e Jamaal The Aur Unki Dadhi Aur Sar Safed Tha Sarkaar Ke Bilkul Karib Khade the.
Maine Imaam e Aazam Ki Khidmat Me Salaam Arz Kiya Aur Arz Ki ke Mujhe Paani Ataa Farmaiye.
Imaam e Aazam Farmaye Jabh Tak RasoolAllah Ijazat Nahi Denge Mai Paani Nahi Dunga.

Fir Sarkaar Ne Farmaya Isse Paani De Do Hazrat Imaam Sahab Ne Mujhe Paani Diya Aur Maine Piya Fir Hazrat Imaam Sahab Se Puchha Ke Yeh Jo Huzur Ki Daayi Taraf Saahib e Jamaal Shakhs Khade Hai Yeh Kaun Buzurg Hai ?
Imaam Sahab Ne Farmaya Yeh Hazrat Ibrahim Khalilullah Alaihissalaam Hai Aur Baayi Aur Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Hai Aur Isi Tarah Me Puchta Raha Aur Imaam Sahab Batate Rahe.

        سُــــبْحانَ الله      سُــــبْحانَ الله


# Tazkiratul Awliyaa Page No.253

0 comments:

Post a Comment