بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Imaam e Azam Radiallahu Anh
Hazrat Imaam e Azam رضي
الله عنه Ke Zamane Mai Ek Shakhs Apna Kuch Maal Zameen Mai Dafn Kar Ke
Bhul Gaya Imaam e Azam Khidmat Mai Haazir Hua Aur Wakiya Arz Kiya Hazrat e
Imaam e Azam Ne Farmaya:
Jao Aaj Tum Saari Raat Namaz Padhte Raho,
Tumhe Yad Aa Jayega Ke Maal Tumne Kaha Dabaya Hai Chunanche Wo Shakhs Gaya Aur
Raat Ko Uss Ne Namaz Padhna Shuru Kar Diya !
Abhi
Chand Raka'at hi Padhi thhi Ke Usse Yaad Aa Gaya Ke Maal Kaha Dabaya Hai
Wo Khush Ho Gaya
Subah Imaam Sahab ki Khidmat Mai Haazir Hua
Aur Kehne Laga Huzur Aap Ne Ye Tadbir Kese Irshad farmai :
Farmaya: Muje Malum Thha Ke Shaitaan Tuje
Raat Bhar Namaz Na Padhne Dega Aur Tuje Tera Maal Yaad Dega Taaki Tu Namaz
Chhor De
Afsos Ke Tune Shukriya Mai Raat Bhar Namaz
Kyo Na Padhi ?
# Jawajirul Bayaan Page No. 66
Sabak : Insaan Mushkil ke Waqt Khuda Ko Yaad
Karne Lagta Hai Magar Mushkil Tal Jane Ke Baad Fir Wahi bedhangi chaal
Ikhteyaar Kar Leta Hai
Ye Baat Badi Afsosnaak hai
0 comments:
Post a Comment