بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Imaam e Azam Radiallahu Anh
Hazrat Imaam e Azam رضي
الله عنه Har Raat 300 Raka'at Nafl Namaz Parha Karte the. Ek Din Aap
Kahi Ja Rahe the Ki Raaste Mai Ek Shakhs Ne Dusre Shakhs Se Kaha Ke Ye Wo Imaam
hai Jo Har Raat 500 Raka'at Nafl Namaz Parhte hai Imaam e Azam Ne Ye baat Suni
to Ussi Waqt Niyyat Kar Li Ke Aaj Se 500 Raka'at Nafl Namaz Parhunga Taaki Uska
Guman Sahi ho Jaye.
Ek Din Aap Ke Shagirdo Ne Kaha Ki Log Kehte
hai Aap Saari Raat Ibadat Karte hai Sote bhi Nahi. Aap Ne Farmaya Ab Me Aisa hi
Karunga Saari Saari Raat Ibadat Karunga.
Iske Baad Aap Ne Musalsal 40 Saal Isha Ki
Wuzu Se Fajr Ki Namaz Parhi, Aap Ka Jis Jagah Zaahiri Wisaal Hua Waha Aap Ne
7000 Baar Quraan e Paak Muqammal Parha tha.
SubhanAllah SubhanAllah
# Tazkiratul Awliyaa Page No.246
Sabaq : Hamare Imaam e Azam رضي الله عنه Allah Rabbul Izaat Ki Badi Ibadat Karne
Wale Aur Allah Rabbul Izzat Ke Maqbul wa Muqarrib(Dost) Bande the.
IS MUBARAK MAHINE MEIN
AATI HAI EK AISI RAAT
JISME KHUDA KI REHMAT
BARASTI HAI
JAISE BARASTI HAI BARSAAT
0 comments:
Post a Comment