Wednesday, March 18, 2015

Shaan E Imaam E Azam Radiallahu Anh 53

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Shaan e Imaam e Azam  Radiallahu Anh

Hazrat Imaam e Azam رضي الله عنه Ek Janaza Parhane Tashreef Le Gaye  Dhoop Ki Badi Shiddat Thi Aur Waha Koi Saaya Na Tha Paas Hi Ek Shakhs Ka Makaan Tha Uss Makaan Ki Deewar Ka Saaya Dekh Kar Logo Ne Arz Ki Hazrat Aap Is Saaye Mai Khade ho Jaye.

Hazrat Ne Farmaya Ke Is Makaan Ka Jo Malik Hai Wo Mera Karzdaar Hai Agar Mene Uss Ki Dewaar Se Kuch Nafa Haasil Kiya Mai Darta Hu Ke Allah Ke Nazdik Mai Sood (intrest) Lene Walo Mai Na Shumaar Ho Jau

Kyoki Sarvar e Aalam Ne Farmaya Hai Ke Jis Karz Se Kuch Nafa Liya Jaye Wo Sood Hai. Chunanche Aap Dhoop Mai Khade Rahe

# Tazkiratul Awliya
Page No. 248

Allahu Akbar Allahu Akbar

Sabaq : Malum Hua Hamare Imaam e Azam Ka Taqwa Kamaal Darze Ka tha Ye Bhi Malum Hua Ke Aap Har Haal Mai Ahadees e Mubaraka Pesh e Nazar Rakhte the


Fir Ye Kaise Ho Sakta Ke Aap Roze Namaz Wagairah Sharai Masaeel Mai Hadees e Paak Ko Pesh e Nazar Nahee Rakhte the Aur Apne Qayas Se Kaam Lete the. Agar Hamare Imaam Ke Talluq Se Koi Aisa kahe Ya Soche to Wo Yakinan Mal'oon Hai

0 comments:

Post a Comment