بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Moti aur jawahar par zakaat waajib nahee
agarche hazaaro ke ho, Haan agar tijarat ki niyat se liye to zakaat waajib ho
gayi.
Jo shakhs nisaab ka malik hai agar darmiyan
saal mein kuch aur maal barha to iss naye maal ka saal alag nahee baki, pehle
maal ka khatam saal iske liye bhi khatme saal hai, agarche saal pura hone se ek
hi minute pehle hasil hua ho.
Saal bhar tak khairaat karta raha iske baad
niyyat ki
Ke jo kuch diya hai woh zakaat hai toh iss
tarah zakaat adaa nahee huwi.
#Qanoon e Shariat Page No. 223
0 comments:
Post a Comment