بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Ussi chiz ka (Jiss maal ki zakaat na adaa ki
gayi) qayamat ke din unke gale mai tauk daala jayega jinke saath bukhl kiya aur
farmata hai jo log sona chaandi jama karte hai aur use Allah ﷻ ki raah mein kharch nahee karte unhe dardnaak azaab ki
khushkhabari suna do...
... jis din jahannam ki aag mein tapaye
jayenge aur inse unki peshaaniyan aur karwate aur peeth daagi jayengi aur unse
kaha jayega yeh woh hai jo tumne apne nafs ke liye jama kiya tha to ab chakho
jo jama karte the.
Masla :- Zakaat shariat mein isko kehte hai
ki Allah ke liye maal ke ek hisse ka jo Shari'at ne muqarrar kiya hai uska
musalmaan, faqeer ko malik bana de.
# Qanoon e Shariat Page no- 220
0 comments:
Post a Comment