بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Koi shakhs Nisaab ka malik hai magar uss par
itna dein (karz) hai ki dein adaa karne ke baad nisaab nahee rehti toh zakaat
waajib nahee chahe dein banda ka ho Jaise karz, zare saman kisi chiz ka Tawana.
Chahe khuda ka (Jaise zakaat khairaat).
Maslan koi shakhs sirf ek nisaab ka malik hai
aur 2(do) saal guzar gaye ki zakat nahee di to sirf pehle saal ka zakaat waajib
hai dusre saal ki nahee iss liye ki pehle saal ki zakaat toh uss par dein hai
iske nikaalne ke baad nisaab baki nahi rehti lehaza dusre saal zakaat waajib
nahee huwi.
Jo maal haajat e asliya ke alawa ho usme
zakaat waajib hai jab ki woh nisaab ke barabar ho.
#Qanoon e Shariat Page No. 222
0 comments:
Post a Comment