Saturday, March 21, 2015

Zakaat ka Bayan 88

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Zakaat ka Bayan


Zakaat wagaira sadkaat mein afzal hai yeh ki pehle apne bhaiyo ko de fir unki aulaad ko fir chacha aur fufiyon ko fir unki aulaad fir mamu aur khaala ko fir unki aulaad ko fir apne gaon ya shaher walon ko.

Hadees mein hai ki
Allah Ta'ala uss shakhs ke sadke ko kabul nahi farmata jiske rishtedaar uske sulook karne ke mohtaaj ho aur yeh gairo ko de.

#Badmazhab ko zakaat dena jaiz nahi aur isi tarah unn murtadeen ko bhi dene se adaa na hogi jo zabaan se toh islam ka daawa karte hai lekin khuda wa Rasool ki shaan ghatate ya kisi aur zaruri deeni baat ka inkaar karte hai.

~ Qanoon e Shariat Page no 238/239


This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment