بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Zakaat kin logo ko di jaye
# Aamil woh hai jise badshaah e islam ne
zakaat wa ushr wasool karne ke liye mukarar kiya ho usse kaam ke lihaaz se itna
diya jaye ki usko aur uske madadgaaro ko mutvissat taur par kafi ho magar itna
na diya jaaye ki jo wasool kar laaya hai uske aadhe se jyada ho jaye.
# Rakaab se muraad mukatab gulam ko dena ki iss
maal e zakaat se badle kitaabat dekar apni gardan chudaye.
#Gaarim se muraad madyun hai yaani uss par
itna dein (karz) ho ki usse nikaalne ke baad nisaab baki na rahe.
# Qanoon e Shariat Page no:235
0 comments:
Post a Comment