بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Sawal: Kya Mushtahiq e zakaat ko cheque
dene se uski zakaat adaa ho jayegi ya jab cheque ko cash kara kar mushtahiq us
rakam par kabza Le le tab adaa hogi?
Jawaab: Cheque ke ta'alluk se tamaam tehqiqat
ke baad ye baat wazeh hui ke cheque sirf sanad-e-zar aur certificate hai. Uski
haisiyat currency note jaisi nahee hai dono mein kayi tarah ka fark hai
Lihaza cheque ka huqm currency note jaisa
nahee hoga, jab tak wo bank se wasool na kare adaa na hui. Cheque sirf
huqm naama hai kabza nahee.
huzoor SadrushShariáh Alaihir Rahma farmate
hai "kisi par rupiye aate hai faqeer se keh diya us se wasool kar le aur
niyyat zakaat ki kiya to uske kabza lene ke baad adaa hui.
~ Bahare shari'at Vol.5 page 24
isi tarah cheque ke liye bhi yahi huqm hoga
ke maal par kabza ke baad zakaat adaa hogi.
0 comments:
Post a Comment