بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Jo Maal Ghum Gaya Ya Pani Mein Gir Gaya Ya
Kisi Ne Gasb Kar Liya Aur Uske Paas Gasb Ke Gawah Nahee Ya Jungle Mai Dafan Kar
Diya Tha Aur Yeh Yaad Na Raha Ki Kaha Dafan Kiya Tha Ya Anjaan Ke Paas Amanat
Rakhi Thi Aur Yeh Yaad Na Raha Ki Woh Kaun Hai Ya Madyun Ne Dene Se Inkaar Kar
Diya Aur Uske Paas Gawah Nahee Phir Yeh Maal Mil Gaya Toh Jab Tak Na Mila Tha
Uss Zamana Ki Zakat Waajib Nahee.
Agar Dain Aise Par Hai Jo Dain Ka Ikraar
Karta Hai Magar Adaa Mein Deir Karta Hai Ya Nadaar Hai Ya qaazi Ke Yaha Iske Muflis
Hone Ka Huqm Ho Chuka Hai Ya Woh Munkir Hai Magar Uske Paas Gawah Maujood Hai
Toh Jab Maal Milega Guzre Huwe Saalo Ki Bhi Zakaat Waajib Hai.
#Qanoon E Shariat Page No :220-221
Lihaza hame Zakaat Ke Masaeel Ko bariki Se
Samajna Chahiye Aur Kisi tarah Ki koi kami na ho isska Ahtiyaat rakhna chahiye
0 comments:
Post a Comment