Sunday, March 22, 2015

Fazaeel shab e Eid ul fitr 111

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu umama رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor akram ﷺ ne Farmaya jis Shakhs ne dono Eid (Eid ul fitr - Eid ul Adha) ki raato ko sawab ka yaqeen rakhte huwe zinda rakha to uss shakhs ka dil uss din na marega jis din logo ke dil murda ho jayenge.
[ibne maza]

Eid ki raat ko Zinda rakhna matlab ye hai ke ibadate ilahi mai mashgul rahe, ghar walo ke sath muhabbat se pesh aaye, rishtedaaro se Achha sulook aur digar ibadato mai raat ko guzare.

Aur jo ye farmaya gaya ki in raato mein ibadat karne wale ka dil mudra na hoga uska matlab ye hai ki qayamat ke din har taraf khauf , dehshat, ghabhrahat hogi log badhawaas aur madhosh honge khauf e ilahi se magar uss bande ko Rabb tabarak wa ta'ala ne'amato se bharpur zindagi bakhshega.

Eid ki raat badi Mubarak aur baa barkat raat hai usme Allah ka zikr, durood e paak aur digar ibadat ziada se ziada kare saari raat ibadat na kar sake to jab tak jaag sakta hai itni hi  der ibadat kar le. aur isha aur fajr ki namaaz taqbire ulaa ke sath baa-jama'at adaa kare.

Kuch log iss Mubarak raat me bazaaro ki sajaawat, chamak damak, aur kharidaaro ki bheed dekhne bazaro mai tafreeh karte hai aur aisi mubarak raat ka  ziadatar hissa bekari mai guzarte hai.

Eid ki raat ye apne Rabb se mangne ki raat hai, inaam ki raat hai. jitna ho sake Rabb tabaarak wa ta'ala se gir-gira kar dua maange aur pichhle gunaho ki maafi talab kare aur aayinda gunaho se bachne ka ahed kare.

Maula tabarak wa ta'ala hum sab ko ye mubarak raat mai ibadat karne ka aur apne Rabb se inaam lene ka jazba ataa kare.

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين


AAYI HAI EID
MUBARAK HO SABKO
EID KI SUNNAT KO
YAAD RAKHO

0 comments:

Post a Comment