Sunday, March 22, 2015

Maah e Ramzaan 109

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Kab bin Ajrah رضي الله عنه se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne humein irshad Farmaya:

Mimbar ke paas Jama ho jao hum sab jama ho gaye, Huzoor ﷺ ne Jab Mimbar ki Pehle sidhi par kadam rakha to farmaya: "Aameen"

Dusri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Jab Teesri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Sahaba ne Arz kiya Ya RasoolAllah! ﷺ Aaj humne Aapse aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahee suni, rasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:
"Mere paas Jibraeel Alaihis Salaam Aaye the.

Jab maine pehli sidhi par Kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo shaks jo Ramzaan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki Bakhshish na ho Maine kaha: "Aameen".

Jab Maine dusri sidhi par kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo Shaks jiske samne Aap ka Naam Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheje, Maine kaha: "Aameen".

Jab maine Teesri sidhi par kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo Shaks jo Apne Waldain ko budhape ki halat mein paye lekin woh (un ki khidmat kar ke) Jannat mein dakhil na ho, Maine kaha: "Aameen".

Mustadrak Al Hakim Shareef.

0 comments:

Post a Comment