Saturday, March 14, 2015

Book - TAMHEED E IMAAN 42

SHARE

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


FIRQA E DUWWAM:

Mua’andeen (Mukhaalifeen) o dushmanaan-e-deen ki khud inkaar e zarooriyaat e deen rakhte hain aur sareeh kufr karke apne upar se naam e kufr mitaane ko Islam o Qur’an o KHUDA wa RASOOL wa Imaan ke saath tamasskhar ( mazaak ) karte aur baraahe agwa o talbees o shewa e iblees ( iblees ke taur tareeqe ki tarah) woh baatein banaate hain ke kisi tarah Zarooriyat-e-Deen maanne ki qaid uth jaaye. Islam faqt tote ki tarah zabaan se kalma rat lene ka naam reh jaaye, bas kalme ka naam leta ho phir chaahe KHUDA ko jhoota kazzaab kahe, chaahe RASOOL ko sadi sadi gaaliyan de, Islam kisi tarah na jaye.
Yeh musalmaanon ke dushman, islam ke adu, awaam ko chilne aur KHUDA e Waahid e Qahhaar ka Deen badalne ke liye chand shaitaani makar pesh karte hain.
MAKAR E AWWAL:
Islam naam kalma goi ka hai.
Hadees mein farmaya jis ne La ilaaha illallaah keh liya Jannat mein jayega. “phir kisi qaul ya fail ki wajah se kaafir kaise ho sakta hai”?
Na uzoo billaahi min zaalika.
Musalmaanon! Zara hoshiyaar. Khabardaar, is makar e maloon ka haasil yeh hai ke zabaan se La ilaaha illallaah keh lena goya KHUDA ka beta ban jaana hai.( goya in deobandiyon ke nazdeek)
Jis tarah kisi Aadmi ka (apna) beta agar use gaaliyaan de, jootiyaan Maare, kuch kare uske bete hone se nahi nikal sakta, yun hi jis ne La ilaaha illallaah keh liya, ab woh chaahe KHUDA ko jhoota kazzaab kahe chaahe RASOOL ko sadi sadi gaaliyaan de, us ka islam nahi badal sakta?
(MA’AZALLAH)

To Be Contd...

0 comments:

Post a Comment