Thursday, March 19, 2015

Tamheed E Imaan 58

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN by Sayyadi Aala Hazrat Rehmatullah Alaih

Imaam e Ajal Sayyedi Abdul Aziz bin Muhammad Bukhari Hanafi Rehmatullaahe ta’ala tehqeeq e sharah Usool e Husaami me farmaate hain: Ummat e Musalmaan ka naam, na ke Qibla rukh namaazi. 

“Yaani bad mazhab agar apni bad mazhabi mein gaali (gulu karne waala) ho jis ke sabab use kaafir kehna waajib ho to Ijmaa mein uski mukhaalifat mawaafiqat ka kuch aitbaar na hoga kyonki khata se Maasoom hone ki shahaadat to ummat ke liye aayi hai aur woh ummat hi se nahee.

agarche Qibla ki taraf namaaz parhta aur apne aap ko musalmaan aiteqaad karta ho is liye ke ummat Qibla ki taraf namaaz parhne waalon ka naam nahee balke Musalmaan ka naam hai aur ye shakhs kaafir hai, agarche apni jaan ko kaafir na jaane.”

Raddul Mukhtaar me hai: " Yaani zarooriyaat e Islam se kisi cheez mein khilaaf karne waala bil Ijmaa kaafir hai agarche ahle Qibla se ho aur umr bhar ta’aat mein basar kare jaisa ke sarah e tehreer Imam ibn ul humaam mein farmaya.”

Kutub e aqaaid wa fiqah wa usool in tasreehaat se maalaamaal hain.


To be continued...

0 comments:

Post a Comment