Sunday, March 15, 2015

Book - TAMHEED E IMAAN 49 MAKAR E DUWWAM PART 2/3

SHARE

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Dekho saaf farma diya ke zarooriyaat e Deen par Imaan laana hi asal kaam hai bagair is ke namaz mein Qibla ko munh karna koi cheez nahin,

AUR FARMATA HAI:
“Wo jo kharch karte hain uska qubool hona band na hua, magar is liye ke unhon ne ALLAH  aur RASOOL ke saath Kufr kiya aur namaz ko nahee aate magar ji haare aur kharch nahin karte magar bure dil se.”
( para 10, surah tauba, ruku 13)


Dekho inka namaz parhna bayaan kiya aur phir unhe kaafir farmaya. Kya woh Qible ko namaz nahin parhte the? faqat Qibla kaisa? Qibla e dil o jaan, Kaaba e Deen o Imaan , Sarwar e Aalamiyaan ( tamaam Aalam ke Baadshah) sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ke peeche jaanib e Qibla namaz padhte the.

AUR FARMATA HAI:
“phir agar woh tauba kare aur namaz barpa rakhe aur zakaat de to hamare Deeni bhai hain aur hum pate ki baat saaf bayaan karte hain ilm waalon ke liye, aur agar qaul o iqraar karke phir apni qasmein tode aur tumhare Deen par ta’an kare to kufr ke peshwaon se ladon, unki qasmein kuch nahin shaayed woh baaz aaye.”
(para 10, surah tauba, ruku 8)

Continued....




بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

0 comments:

Post a Comment