بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Alaihir Rahma
MAKAR E DUWWAM
PART 3/3
Dekho Namaz wa zakaat wale agar Deen par
ta’ana karein to unhein kufr ka peshwa Kaafiron ka sargana farmaya. Kya KHUDA
aur RASOOL ki shaan mein wo gustakhiyaan Deen par Ta’ana Nahin? Iska bayaan bhi
suniye:
TUMHARA RAB AZZ WA JALL FARMATA HAI:
“Kuch yahoodi baat ko us jagah se badalte
hain aur kehte hain hum ne suna aur na Maana, aur suniye aap sunaaye na jaaye
aur raaeena kehte hain zabaan pher kar aur deen par ta’ana karne ko aur agar
woh kehte hum ne “suna” aur “Maana” aur “suniye” aur hame “mohlat” dijiye to
unke liye behtar aur bohat theek hota lekin unke kufr ke sabab ALLAH ne un par
laa’nat ki hai to Imaan nahi laate magar kam.”
(para 5, surah nisa, ruku 4)
Allah ki panaah
EK HAATH BARHAWO
PADOSI KI MADAD MAI
UNKi TAKLEEF, HAR DUKH
AUR HAR DARD MAI
JISNE UNKI TAKLIF KO
BARHAWA DIYA WO SHAKHS KABHI MOMIN NAHI HO
SAKTA
0 comments:
Post a Comment