بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaih
PEHLUDAAR BAAT DEEN ME TA'ANA:
Part 1/2
Kuch yahoodi jab darbaar e Nabuwat mein
haazir hote aur HUZOOR E AQDAS sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam se
kuch arz karna chaahte to yun kehte suniye,
"Aap sunaate na jaayein", jis se
zaahir to dua hoti yaani HUZOOR ko koi na-gawaar baat na sunaate aur dil mein
bad-dua ka iraada karte ke sunaayi na de aur jab HUZOOR E AQDAS sallallahu
Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam kuch irshaad farmate aur ye baat samajh lene
ke liye mohlat chaahte to raa’ina kehte,
jis ka ek pehlu e zaahir ye ke “hamaari riaayat
farmaiye” aur muraad e khafi
(chupi hui) rakhte “raoonat waala” aur baaz
kehte hain zabaan dabaakar raeeena kehte yani “hamara charwaaha”.
Yaani yahoodi dil hi dil me HUZOOR ke liye
raa'ina shabd ko tauheen ke taur par istemaal karte to ALLAH TA'ALA ne aayat
naazil farmaayi ki raa'ina na kaho balke unzurna kaho.
To be Continued...
WOH AULAAD HI KYA
JO WALIDEIN KI KHIDMAT NA KARE
WOH NAMAZ HI KYA
JISME WAQT KI PABANDI NA RAHE
0 comments:
Post a Comment