Saturday, March 14, 2015

Book TAMHEED E IMAAN 39

SHARE

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



 Aur Farmaata hai:
2.
“Woh jin par taurait ka bojh rakha gaya magar unho ne usey na uthaya unka haal us gadhe ke jaisa hai jis par kitaabein ladi hon, kya buri misaal hai unki jinhone KHUDA ki aayatein jhutlaayin aur ALLAH zaalimon ko hidaayat nahi karta.”
(para 28, surah Juma, ruku 11)

3.
Aur Farmaata hai:
“Unhe padh kar suna khabar uski jise humne apni aayaton ka ilm diya tha, woh unse nikal gaya to shaitaan uske peeche laga ke gumraah hogaya aur hum chaahte to us ilm ke ba’is usey gire se utha lete magar woh to zameen pakad gaya aur apni khwaahish ka pairo ho gaya to uska haal kutte ki tarah hai tu us par hamla kare to zabaan nikaal kar haanpe aur chhod de to haanpe, yeh unka haal hai jinhon ne hamaari aayatein jhutlaeen to hamara yeh irshad bayaan kar yeh shaayad log sochein, kya bura haal hai unka jinhone hamaari aayatein jhutlaayin aur apni hi jaanon par sitam dhaate they jise KHUDA hidaayat kare wohi raah paaye aur jise gumraah kare to wohi saraasar nuqsaan mein hain”
( Para 9, surah Airaaf, ruku 12)

“Yaani hidaayat kuch ilm par nahi KHUDA ke ikhtiyaar me hai.
Yeh aayatein hain aur hadeesein hain jo gumraah aalimon ki mazammat mein hain. Inka to shumaar hi nahi yahan tak ke ek hadees mein hai, dozakh ke farishtey but paraston se pehle unhein pakdenge, yeh kahenge kya hamein but poojne waalon se bhi pehle lete ho, jawab milega
" Jaanne wale aur anjaan baraabar nahi."

to Be Contd....

0 comments:

Post a Comment