بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN
Sarah e Fiqh e Akbar mein Hain : Yaani
mawaaqif mein hai ke ahle qibla ko kaafir na kaha jayega magar jab zarooriyaat
e deen ya ijmaayi baaton se kisi baat ka inkaar Karein jaise haraam ko halaal
jaan na aur makhfi
(chupa hua) nahee ke hamare Ulema jo
farmaate hain ke kisi gunaah ke ba’is ahle qibla ki takfeer rawa Nahin.
Usey nira qibla ko munh karna muraad nahee ke
ghaali raafzee jo bakte hain ke Jibraeel Alaihis Salaatu Wassalaam ko wahi mein
dhoka hua.
Allah subhan wa Ta'ala ne unhein Maula Ali
karamallahu wajhul kareem ki taraf bheja tha aur baaz to Maula Ali ko Khuda
kehte hain.
aayiye yahan batata chalun ke baaz raafziyon
ka ye kehna hai ke Hazrat e Jibraeel Maula Ali ke liye wahi laaye the aur dhoke
se Huzoor ko de gaye. Ma'azAllah. Aur baaz raafzi to Maula Ali ko Ma'azAllah
Khuda kehte hain. Allah mehfooz rakhein. Aameen
To be Continued...
AAPAS MEIN PYAR
BARHAA LIJIYE
SALAAM SE SUNNAH
NIBHAA LIJIYE
0 comments:
Post a Comment