بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
... Continued
is makar ka Jawab aik to isi Aayate kareema mein guzra “Kya log is ghamand mein Hain ke nire Addaaye islam [islaami daawa] par chhor diye jaayenge aur imtehaan na hoga?"
{ Surah Anqaboot }
Islam agar Faqat Kalma goyi ka naam Tha to beshak Haasil thi Phir Logon Ka ghamand Kyun Galat Tha? Jise Qur’an e Azeem radd farma raha hai, neez: Tumhara RAB azz a jall Farmaata hai: “Yeh gawaar Kehte hain hum Imaan laaye Tum farma do Imaan to tum na laaye haan yun kaho hum mutiul islam huye Imaan abhi Tumhare dilon Mein kahaa daakhil hua”
{ Surah Hujraat }
aur Farmaata hai : “Munaafiqeen jab Tumhare huzoor Haazir hote hain Kehte hai hum Gawaahi dete Hain ke beshak HUZOOR yaqeenan KHUDA ke RASOOL hain aur ALLAH khoob jaanta hai ke beshak tum zaroor Uske RASOOL ho aur ALLAH gawaahi deta hai ke beshak yeh munaafiq zaroor jhoote hain”
{ Surah Munaafiqoon }
Dekho kaisi lambi chauri kalma goi, kaisi kaisi taa’keedon se moaqqad, kaisi kaisi qasmon se moaiyyed (taaeed kiya hua) hargiz moajjib e islam na huwi aur ALLAH Waahid Qahhaar ne unke jhoote kazzaab hone ki gawaahi di to "Man qaala La ilaaha illallaah dakhalal Jannata" ka yeh matlab nikaalna sarahatan Qur’an e Azeem ka radd karna hai.
Haan jo kalma padhta ho apne aap ko Musalmaan kehta ho hum use musalmaan jaanenge jab tak use koi kalma, koi harqat, koi fail manaafi e islam [ islaam ke khilaaf ] na saadir ho, baad sudoor e manaafi hargiz kalma goi kaam na degi. (Yaani jo shakhs kalma parhta hai aur kabhi ALLAH wa RASOOL ki tauheen nahee karta wo musalmaan hai magar agar usne adna si bhi ALLAH ya RASOOL ki tauheen ki aur tauba na ki to wo Kaafir hai, kalma padhna uska bekaar hai.)
To be continued ...
0 comments:
Post a Comment