بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
AUR FARMATA HAI :
“Aur agar tum un se poochho to beshak zaroor kahein ge ke hum to yun hi hansi khel mein the, Tum farma do kya Allah aur us ki Aayaton aur us ke Rasool se thattha karte the, bahaane na banao tum kaafir ho chuke apne Imaan ke baad.”
{ para 10, Surah Tauba, Ruku 14 }
Ibn abi Shaiba wa ibn Jareer wa ibn Almanzar wa ibn abi Hatim wa abu Alshaikh Imaam Mujahid talmiz e khaas Sayyedna Abdullah bin Abbas radiyallahu ta’ala anhum se riwaayat farmaate hain,
"Yaani kisi shakhs ki oontni gum ho gayi, us ki talaash thi, RasoolAllah sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ne farmaya oontni falaan jungle mein falaan jagah hai, is par ek munaafiq bola Mohammed sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam batate hain ke oontni falaan jagah hai, Mohammed ghaib kya jaane?"
Is par Allah azz wa jall ne yeh aayat e kareema utaari ke kya Allah wa Rasool se thattha karte ho, bahaane na banao tum musalmaan kehlaakar is lafz ke kehne se kaafir ho gaye.
[ Tafseer e Imam ibn Jareer matbaa Misr, jild dahum safaa 105 ]
[ Tafseer Durre Mansoor e Imaam Jalaaluddin suyuti jild suwam safha 254]
Musalmaano! dekho Mohammed RasoolAllah sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ki shaan mein itni gustaakhi karne se ke "woh Ghaib kya jaane" kalma goi kaam na aayi aur Allah subahn wa ta’ala ne saaf farma diya ke bahaane na banao, tum Islam ke baad kaafir hogaye.
to be continued...
0 comments:
Post a Comment